Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yunhi chahaton ka asar mila

Fahmida Kausar Fahmi

yunhi chahaton ka asar mila

Fahmida Kausar Fahmi

MORE BYFahmida Kausar Fahmi

    yūñhī chāhatoñ kā asar milā

    mujhe āñsuoñ kā nagar milā

    vahī tez chubhtī sī dhuup hai

    kahāñ tāzgī kā shajar milā

    mirī gum-shuda sī vo manzileñ

    mujhe 'umr bhar kā safar milā

    maiñ to rāstoñ meñ bhaTak ga.ī

    tirī zaat se vo hunar milā

    vo zamīñ rahī na hī sā.ibāñ

    mujhe bārishoñ meñ vo ghar milā

    yunhi chahaton ka asar mila

    mujhe aansuon ka nagar mila

    wahi tez chubhti si dhup hai

    kahan tazgi ka shajar mila

    meri gum-shuda si wo manzilen

    mujhe 'umr bhar ka safar mila

    main to raston mein bhaTak gai

    teri zat se wo hunar mila

    wo zamin rahi na hi saiban

    mujhe barishon mein wo ghar mila

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now