amal bar-waqt hona chahiye tha
amal bar-vaqt honā chāhiye thā
zamīñ nam thī to bonā chāhiye thā
samajhnā thā mujhe bārish kā paanī
tumheñ kapḌe bhigonā chāhiye thā
tū jaadū hai to koī shak nahīñ hai
maiñ pāgal huuñ to honā chāhiye thā
maiñ mujrim huuñ to mujrim isli.e huuñ
mujhe sālim khilaunā chāhiye thā
agar kaT-phaT gayā thā merā dāman
tumheñ siina pironā chāhiye thā
amal bar-waqt hona chahiye tha
zamin nam thi to bona chahiye tha
samajhna tha mujhe barish ka pani
tumhein kapDe bhigona chahiye tha
tu jadu hai to koi shak nahin hai
main pagal hun to hona chahiye tha
main mujrim hun to mujrim islie hun
mujhe salim khilauna chahiye tha
agar kaT-phaT gaya tha mera daman
tumhein sina pirona chahiye tha
- Book : Chandi Ka waraq (Pg. 76)
- Author : Ahmad Kamal Parvazi
- Publication : Surkhwab Publication (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.