Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab tilism hai nairang-e-jawedani ka

Shoaib Nizam

ajab tilism hai nairang-e-jawedani ka

Shoaib Nizam

MORE BYShoaib Nizam

    ajab tilism hai nairañg-e-jāvedānī

    ki TūTtā nahīñ nashsha ḳhud-gumānī

    safar tamām huā jab sarāb to khulā

    ajiib zā.iqa hotā hai ThanDe paanī

    jahāñ pe ḳhatm vahīñ se shurūa hotī hai

    tabhī to zikr-e-musalsal hai is kahānī

    kidhar Dubo ke kahāñ par ubhārtā hai

    ye kaisā rañg hai dariyā tirī ravānī

    vo mujh meñ ab bhī vahī hausle talāshtā hai

    kahāñ se DhūñD ke laa.eñ badal javānī

    ajab tilism hai nairang-e-jawedani ka

    ki TuTta hi nahin nashsha KHud-gumani ka

    safar tamam hua jab sarab ka to khula

    ajib zaiqa hota hai ThanDe pani ka

    jahan pe KHatm wahin se shurua hoti hai

    tabhi to zikr-e-musalsal hai is kahani ka

    kidhar Dubo ke kahan par ubhaarta hai tu

    ye kaisa rang hai dariya teri rawani ka

    wo mujh mein ab bhi wahi hausle talashta hai

    kahan se DhunD ke laen badal jawani ka

    Source :
    • Book : Aks e Gumgushta (Pg. 17)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now