Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aish kar KHuban mein ai dil shadmani phir kahan

Nazeer Akbarabadi

aish kar KHuban mein ai dil shadmani phir kahan

Nazeer Akbarabadi

aish kar ḳhūbāñ meñ ai dil shādmānī phir kahāñ

shādmānī gar huī to zindagānī phir kahāñ

jis qadar piinā ho le paanī un ke haath se

āb-e-jannat to bahut hogā ye paanī phir kahāñ

lazzateñ jannat ke meve bahut hoñgī vahāñ

phir ye mīThī gāliyāñ ḳhūbāñ khānī phir kahāñ

vaañ to haañ hūroñ ke gahne ke bahut hoñge nishāñ

in parī-zādoñ ke chhalloñ nishānī phir kahāñ

ulfat-o-mahr-o-mohabbat sab haiñ jīte-jī ke saath

mehrbāñ uTh ga.e ye mehrbānī phir kahāñ

vaa.iz o nāseh bakeñ to un ke kahne ko na maan

dam ġhanīmat hai miyāñ ye naujavānī phir kahāñ

paḌe chup ho ke jab shahr-e-ḳhamoshāñ meñ 'nazīr'

ye ġhazal ye reḳhta ye sher-ḳhvānī phir kahāñ

aish kar KHuban mein ai dil shadmani phir kahan

shadmani gar hui to zindagani phir kahan

jis qadar pina ho pi le pani un ke hath se

aab-e-jannat to bahut hoga ye pani phir kahan

lazzaten jannat ke mewe ki bahut hongi wahan

phir ye miThi galiyan KHuban ki khani phir kahan

wan to han huron ke gahne ke bahut honge nishan

in pari-zadon ke chhallon ki nishani phir kahan

ulfat-o-mahr-o-mohabbat sab hain jite-ji ke sath

mehrban hi uTh gae ye mehrbani phir kahan

waiz o naseh baken to un ke kahne ko na man

dam ghanimat hai miyan ye naujawani phir kahan

ja paDe chup ho ke jab shahr-e-KHamoshan mein 'nazir'

ye ghazal ye reKHta ye sher-KHwani phir kahan

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now