Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi

Khumar Barabankavi

aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi

Khumar Barabankavi

aisā nahīñ ki un se mohabbat nahīñ rahī

jazbāt meñ vo pahlī shiddat nahīñ rahī

zof-e-quvā ne āmad-e-pīrī naved

vo dil nahīñ rahā vo tabī.at nahīñ rahī

sar meñ vo intizār saudā nahīñ rahā

dil par vo dhaḌkanoñ hukūmat nahīñ rahī

kamzorī-e-nigāh ne sanjīda kar diyā

jalvoñ se chheḌ-chhāḌ aadat nahīñ rahī

hāthoñ se intiqām liyā irti.āsh ne

dāmān-e-yār se koī nisbat nahīñ rahī

paiham tavāf-e-kūcha-e-jānāñ ke din ga.e

pairoñ meñ chalne phirne tāqat nahīñ rahī

chehre ko jhurriyoñ ne bhayānak banā diyā

ā.īna dekhne bhī himmat nahīñ rahī

allāh jaane maut kahāñ mar ga.ī 'ḳhumār'

ab mujh ko zindagī zarūrat nahīñ rahī

aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi

jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi

zof-e-quwa ne aamad-e-piri ki di nawed

wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi

sar mein wo intizar ka sauda nahin raha

dil par wo dhaDkanon ki hukumat nahin rahi

kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya

jalwon se chheD-chhaD ki aadat nahin rahi

hathon se intiqam liya irtiash ne

daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi

paiham tawaf-e-kucha-e-jaanan ke din gae

pairon mein chalne phirne ki taqat nahin rahi

chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya

aaina dekhne ki bhi himmat nahin rahi

allah jaane maut kahan mar gai 'KHumar'

ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Chaya Ganguly

Chaya Ganguly

RECITATIONS

Khumar Barabankavi

Khumar Barabankavi,

Khumar Barabankavi

aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi Khumar Barabankavi

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now