Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gar dekhiye to mazhar-e-asar-e-baqa hun

Khwaja Meer Dard

gar dekhiye to mazhar-e-asar-e-baqa hun

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    gar dekhiye to maz.har-e-āsār-e-baqā huuñ

    aur samjhiye juuñ 'aks mujhe mahv-e-fanā huuñ

    kartā huuñ pas-az-marg bhī hal mushkil-e-'ālam

    behis huuñ pe nāḳhun kī tarah 'uqda-kushā huuñ

    mamnūn mire faiz ke sab ahl-e-nazar haiñ

    juuñ nuur har ik chashm kā dīdār-numā huuñ

    hai maz.har-e-anvār-e-safā merī kudūrat

    har-chand ki aahan huuñ par ā.īna banā huuñ

    ahvāl-e-do-'ālam hai mire dil pe huvaidā

    samjhā nahīñ tā-hāl par apne ta.iiñ kyā huuñ

    āvāz nahīñ qaid meñ zanjīr kī hargiz

    har chand ki 'ālam meñ huuñ 'ālam se judā huuñ

    huuñ qāfila-sālār-e-tarīq-e-qudamā 'dard'

    juuñ naqsh-e-qadam ḳhalq ko maiñ rāh-numā huuñ

    gar dekhiye to mazhar-e-asar-e-baqa hun

    aur samjhiye jun 'aks mujhe mahw-e-fana hun

    karta hun pas-az-marg bhi hal mushkil-e-'alam

    behis hun pe naKHun ki tarah 'uqda-kusha hun

    mamnun mere faiz ke sab ahl-e-nazar hain

    jun nur har ek chashm ka didar-numa hun

    hai mazhar-e-anwar-e-safa meri kudurat

    har-chand ki aahan hun par aaina bana hun

    ahwal-e-do-'alam hai mere dil pe huwaida

    samjha nahin ta-haal par apne tain kya hun

    aawaz nahin qaid mein zanjir ki hargiz

    har chand ki 'alam mein hun 'alam se juda hun

    hun qafila-salar-e-tariq-e-qudama 'dard'

    jun naqsh-e-qadam KHalq ko main rah-numa hun

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now