Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar chhuTa bhi us se aaina-KHana to kya hoga

Qamar Jalalvi

agar chhuTa bhi us se aaina-KHana to kya hoga

Qamar Jalalvi

MORE BYQamar Jalalvi

    agar chhūTā bhī us se ā.ina-ḳhāna to kyā hogā

    vo uljhe raheñge zulf meñ shāna to kyā hogā

    bhalā ahl-e-junūñ se tark vīrāna to kyā hogā

    ḳhabar aa.egī un un ab aanā to kyā hogā

    sune jaao jahāñ tak sun sako jab niiñd aa.egī

    vahīñ ham chhoḌ deñge ḳhatm afsāna to kyā hogā

    añdherī raat zindāñ paañv meñ zanjīr-e-tanhā.ī

    is aalam meñ mar jā.egā dīvāna to kyā hogā

    abhī to mutma.in ho zulm parda hai ḳhāmoshī

    agar kuchh muñh se bol uThThā ye dīvāna to kyā hogā

    janāb-e-shaiḳh ham to riñd haiñ chullū salāmat hai

    jo tum ne toḌ bhī Daalā ye paimāna to kyā hogā

    yahī hai gar ḳhushī to raat bhar ginte raho taare

    'qamar' is chāñdnī meñ un ab aanā to kyā hogā

    agar chhuTa bhi us se aaina-KHana to kya hoga

    wo uljhe hi rahenge zulf mein shana to kya hoga

    bhala ahl-e-junun se tark virana to kya hoga

    KHabar aaegi un ki un ka ab aana to kya hoga

    sune jao jahan tak sun sako jab nind aaegi

    wahin hum chhoD denge KHatm afsana to kya hoga

    andheri raat zindan panw mein zanjir-e-tanhai

    is aalam mein mar jaega diwana to kya hoga

    abhi to mutmain ho zulm ka parda hai KHamoshi

    agar kuchh munh se bol uThTha ye diwana to kya hoga

    janab-e-shaiKH hum to rind hain chullu salamat hai

    jo tum ne toD bhi Dala ye paimana to kya hoga

    yahi hai gar KHushi to raat bhar ginte raho tare

    'qamar' is chandni mein un ka ab aana to kya hoga

    Source :
    • Book : Auj-Qamar (Pg. 53)
    • Author : Ustad Sayed Mohd. Hussain Qamar Jalalvi
    • Publication : Shaikh Shokat Ali And Sons (1952)
    • Edition : 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now