Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab is sada kahani ko naya ek moD dena tha

Anjum Irfani

ab is sada kahani ko naya ek moD dena tha

Anjum Irfani

ab is saada kahānī ko nayā ik moḌ denā thā

zarā baat par ahd-e-vafā toḌ denā thā

mahaktā thā badan har vaqt jis ke lams-e-ḳhush-bū se

vahī gul-dasta dahlīz-e-ḳhizāñ par chhoḌ denā thā

shikast-e-sāz-e-dil umr bhar mātam bhī kyā karte

ki ik din hañste hañste sāz-e-jāñ toḌ denā thā

safar meñ har qadam rah rah ke ye taklīf dete

bahar-sūrat hameñ in ābloñ ko phoḌ denā thā

ġhalat-fahmī ke jhoñkoñ se bikhar kar rah ga.e āḳhir

lahū aañch meñ TuuTe diloñ ko joḌ denā thā

vo jis pe zikr hai qaul-o-qasam aur ahd-o-paimāñ

kitāb-e-zindagī ke is varaq ko moḌ denā thā

banāyā nahīñ ham ne kabhī ye soch kar 'anjum'

ki gautam tarah ik din hameñ ghar chhoḌ denā thā

ab is sada kahani ko naya ek moD dena tha

zara si baat par ahd-e-wafa hi toD dena tha

mahakta tha badan har waqt jis ke lams-e-KHush-bu se

wahi gul-dasta dahliz-e-KHizan par chhoD dena tha

shikast-e-saz-e-dil ka umr bhar matam bhi kya karte

ki ek din hanste hanste saz-e-jaan hi toD dena tha

safar mein har qadam rah rah ke ye taklif hi dete

bahar-surat hamein in aablon ko phoD dena tha

ghalat-fahmi ke jhonkon se bikhar kar rah gae aaKHir

lahu ki aanch mein TuTe dilon ko joD dena tha

wo jis pe zikr hai qaul-o-qasam aur ahd-o-paiman ka

kitab-e-zindagi ke is waraq ko moD dena tha

banaya hi nahin hum ne kabhi ye soch kar 'anjum'

ki gautam ki tarah ek din hamein ghar chhoD dena tha

Source :
  • Book : zubaan-e-zakham (Pg. 37)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now