Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab andheron mein jo hum KHauf-zada baiThe hain

Khushbir Singh Shaad

ab andheron mein jo hum KHauf-zada baiThe hain

Khushbir Singh Shaad

ab añdheroñ meñ jo ham ḳhauf-zada baiThe haiñ

kyā kaheñ ḳhud charāġhoñ ko bujhā baiThe haiñ

bas yahī soch ke taskīn ho jaatī hai

aur kuchh log bhī duniyā se ḳhafā baiThe haiñ

dekh le jān-e-vafā aaj tirī mahfil meñ

ek mujrim tarah ahl-e-vafā baiThe haiñ

ek ham haiñ ki parastish pe 'aqīda nahīñ

aur kuchh log yahāñ ban ke ḳhudā baiThe haiñ

'shād' bazm ke ādāb samajhtā nahīñ

aur bhī log yahāñ tere sivā baiThe haiñ

ab andheron mein jo hum KHauf-zada baiThe hain

kya kahen KHud hi charaghon ko bujha baiThe hain

bas yahi soch ke taskin si ho jati hai

aur kuchh log bhi duniya se KHafa baiThe hain

dekh le jaan-e-wafa aaj teri mahfil mein

ek mujrim ki tarah ahl-e-wafa baiThe hain

ek hum hain ki parastish pe 'aqida hi nahin

aur kuchh log yahan ban ke KHuda baiThe hain

'shad' tu bazm ke aadab samajhta hi nahin

aur bhi log yahan tere siwa baiThe hain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now