aaThon pahr lahu mein nahaya kare koi
āThoñ pahr lahū meñ nahāyā kare koī
yuuñ bhī na apne dard ko dariyā kare koī
aḌ jā.egī fasīl-e-shab-e-jabr toḌ kar
qaidī nahīñ havā jise andhā kare koī
dil taḳhta-e-gulāb bhī ātish-fishāñ bhī hai
is rah-guzar se roz na guzrā kare koī
oḌhī hai us ne sard ḳhamoshī misāl-e-sañg
lafzoñ ke ābshār girāyā kare koī
paanī kī tarah phail ga.ī ghar meñ shām-e-hijr
tā-sub.h Duub Duub ke ubhrā kare koī
maiñ huuñ kisī sadā ke shikanje meñ 'ja.afarī'
merā patā havāoñ se pūchhā kare koī
aaThon pahr lahu mein nahaya kare koi
yun bhi na apne dard ko dariya kare koi
aD jaegi fasil-e-shab-e-jabr toD kar
qaidi nahin hawa jise andha kare koi
dil taKHta-e-gulab bhi aatish-fishan bhi hai
is rah-guzar se roz na guzra kare koi
oDhi hai us ne sard KHamoshi misal-e-sang
lafzon ke aabshaar giraya kare koi
pani ki tarah phail gai ghar mein sham-e-hijr
ta-subh Dub Dub ke ubhra kare koi
main hun kisi sada ke shikanje mein 'jafari'
mera pata hawaon se puchha kare koi
- Book : Sar Sabz (Pg. 136)
- Author : Krishn Kumar Toor
- Publication : Aariz Offset Press 123 Shahzad Bagh Ind. Phase-II Delhi-35 ( 1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.