Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon mein rup subh ki pahli kiran sa hai

Ada Jafarey

aankhon mein rup subh ki pahli kiran sa hai

Ada Jafarey

MORE BYAda Jafarey

    Interesting Fact

    1973

    āñkhoñ meñ ruup sub.h pahlī kiran hai

    ahvāl zulf-e-shikan-dar-shikan hai

    kuchh yādgār apnī magar chhoḌ kar ga.iiñ

    jaatī rutoñ haal diloñ lagan hai

    āñkheñ baras ga.iiñ to nikhār aur aa gayā

    yādoñ rañg bhī to gul-o-yāsman hai

    kis moḌ par haiñ aaj ham ai rahguzār-e-nāz

    ab dard mizāj kisī ham-suḳhan hai

    hai ab bhī rañg rañg-e-tamannā pairahan

    ḳhvāboñ ke saath ab bhī vahī husn-e-zan hai

    kin manziloñ luTe haiñ mohabbat ke qāfile

    insāñ zamīñ pe aaj ġharīb-ul-vatan hai

    vo jis saath chhoḌ chukā nāz-e-āgahī

    ab bhī talāsh-e-rah meñ vahī rāhzan hai

    shāḳhoñ rañg-rūp ḳhizāñ le ga.ī magar

    andāz aaj bhī vahī arbāb-e-fan hai

    ḳhushbū ke thāmne ko baḌhā.e haiñ haath 'adā'

    dāmān-e-ārzū bhī sabā-pairahan hai

    aankhon mein rup subh ki pahli kiran sa hai

    ahwal ji ka zulf-e-shikan-dar-shikan sa hai

    kuchh yaadgar apni magar chhoD kar gain

    jati ruton ka haal dilon ki lagan sa hai

    aankhen baras gain to nikhaar aur aa gaya

    yaadon ka rang bhi to gul-o-yasman sa hai

    kis moD par hain aaj hum ai rahguzar-e-naz

    ab dard ka mizaj kisi ham-suKHan sa hai

    hai ab bhi rang rang-e-tamanna ka pairahan

    KHwabon ke sath ab bhi wahi husn-e-zan sa hai

    kin manzilon luTe hain mohabbat ke qafile

    insan zamin pe aaj gharib-ul-watan sa hai

    wo jis ka sath chhoD chuka naz-e-agahi

    ab bhi talash-e-rah mein wahi rahzan sa hai

    shaKHon ka rang-rup KHizan le gai magar

    andaz aaj bhi wahi arbab-e-fan sa hai

    KHushbu ke thamne ko baDhae hain hath 'ada'

    daman-e-arzu bhi saba-pairahan sa hai

    Source :
    • Book : Gazalan Tum to waqif ho (Pg. 159)
    • Author : Ada Jafri
    • Publication : Galib Publishers, Lahore (1982)
    • Edition : 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now