aankhon ke gham-kadon mein ujale hue to hain
āñkhoñ ke ġham-kadoñ meñ ujāle hue to haiñ
buniyād ek ḳhvāb kī Daale hue to haiñ
talvār gir ga.ī hai zamīñ par to kyā huā
dastār apne sar pe sambhāle hue to haiñ
ab dekhnā hai aate haiñ kis samt se javāb
ham ne ka.ī savāl uchhāle hue to haiñ
zaḳhmī huī hai ruuh to kuchh ġham nahīñ hameñ
ham apne dostoñ ke havāle hue to haiñ
go intizār-e-yār meñ āñkheñ sulag uThīñ
rāhoñ meñ duur duur ujāle hue to haiñ
ham qāfile se bichhḌe hue haiñ magar 'nabīl'
ik rāsta alag se nikāle hue to haiñ
aankhon ke gham-kadon mein ujale hue to hain
buniyaad ek KHwab ki Dale hue to hain
talwar gir gai hai zamin par to kya hua
dastar apne sar pe sambhaale hue to hain
ab dekhna hai aate hain kis samt se jawab
hum ne kai sawal uchhaale hue to hain
zaKHmi hui hai ruh to kuchh gham nahin hamein
hum apne doston ke hawale hue to hain
go intizar-e-yar mein aankhen sulag uThin
rahon mein dur dur ujale hue to hain
hum qafile se bichhDe hue hain magar 'nabil'
ek rasta alag se nikale hue to hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.