zindagi ke sahra mein kuchh nishan nahin milte
zindagī ke sahrā meñ kuchh nishāñ nahīñ milte
rāste to milte haiñ kārvāñ nahīñ milte
māmtā kī chhāñv kī qadr jo nahīñ karte
dhuup un ko miltī hai sā.ebāñ nahīñ milte
umr bhar safar hī to phir nasīb hotā hai
ghar se jab nikal jaa.eñ āshiyāñ nahīñ milte
apnī apnī duniyā meñ kho ga.e haiñ ham donoñ
tum jahāñ pe milte ho ham vahāñ nahīñ milte
diin ho ki ye duniyā rā.egāñ hī Thahreñ ham
muft meñ to ye āḳhir do-jahāñ nahīñ milte
faisle ke lamhe meñ adl karnā mushkil hai
chashm-dīd logoñ ke kyuuñ bayāñ nahīñ milte
dard kī kitāboñ meñ haath kī lakīroñ meñ
ham ne pā ke dekhā hai ġham kahāñ nahīñ milte
zindagi ke sahra mein kuchh nishan nahin milte
raste to milte hain karwan nahin milte
mamta ki chhanw ki qadr jo nahin karte
dhup un ko milti hai saeban nahin milte
umr bhar safar hi to phir nasib hota hai
ghar se jab nikal jaen aashiyan nahin milte
apni apni duniya mein kho gae hain hum donon
tum jahan pe milte ho hum wahan nahin milte
din ho ki ye duniya raegan hi Thahren hum
muft mein to ye aaKHir do-jahan nahin milte
faisle ke lamhe mein adl karna mushkil hai
chashm-did logon ke kyun bayan nahin milte
dard ki kitabon mein hath ki lakiron mein
hum ne pa ke dekha hai gham kahan nahin milte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.