aankhon mein sitare se chamakte rahe ta-der
āñkhoñ meñ sitāre se chamakte rahe tā-der
ik ghar ke dar-o-bām ko takte rahe tā-der
aañsū to hue ḳhushk pa girya rahā jaarī
bachchoñ kī tarah ro ke sisakte rahe tā-der
us shāḳh se ik mār-e-siyah lipTā huā thā
lekin vahīñ taa.ir bhī chahakte rahe tā-der
kyā lams thā us dast-e-hinā.ī kā tah-e-āb
angāre se hāthoñ meñ dahakte rahe tā-der
ik aag sī jaltī rahī tā-'umr lahū meñ
ham apne hī ehsās meñ pakte rahe tā-der
vo garmī-e-anfās vo jaaḌe kī ḳhunuk raat
ehsās meñ sho'le se lapakte rahe tā-der
aankhon mein sitare se chamakte rahe ta-der
ek ghar ke dar-o-baam ko takte rahe ta-der
aansu to hue KHushk pa girya raha jari
bachchon ki tarah ro ke sisakte rahe ta-der
us shaKH se ek mar-e-siyah lipTa hua tha
lekin wahin tair bhi chahakte rahe ta-der
kya lams tha us dast-e-hinai ka tah-e-ab
angare se hathon mein dahakte rahe ta-der
ek aag si jalti rahi ta-'umr lahu mein
hum apne hi ehsas mein pakte rahe ta-der
wo garmi-e-anfas wo jaDe ki KHunuk raat
ehsas mein sho'le se lapakte rahe ta-der
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.