Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne kartawya ko nibhana hai

Raj Vishwakarma Raaz

apne kartawya ko nibhana hai

Raj Vishwakarma Raaz

MORE BYRaj Vishwakarma Raaz

    apne kartavya ko nibhānā hai

    ek beTe ko ghar chalānā hai

    is liye ro rahā huuñ maiñ bāhar

    kyūñki ghar jā ke muskurānā hai

    jo paḌhe us ko yaad ho jā.ūñ

    ḳhud ko itnā saral banānā hai

    salary bank meñ hī rahne do

    qarz kī qist ko chukānā hai

    log bas rāstā dikhā.eñge

    mujh ko ḳhud rāstā banānā hai

    apne kartawya ko nibhana hai

    ek beTe ko ghar chalana hai

    is liye ro raha hun main bahar

    kyunki ghar ja ke muskurana hai

    jo paDhe us ko yaad ho jaun

    KHud ko itna saral banana hai

    salary bank mein hi rahne do

    qarz ki qist ko chukana hai

    log bas rasta dikhaenge

    mujh ko KHud rasta banana hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning

    Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets

    Speak Now