Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main jab bhi akeli hoti hun tum chupke se aa jate ho

Sahir Ludhianvi

main jab bhi akeli hoti hun tum chupke se aa jate ho

Sahir Ludhianvi

maiñ jab bhī akelī hotī huuñ tum chupke se aa jaate ho

aur jhāñk ke merī āñkhoñ meñ biite din yaad dilāte ho

mastāna havā ke jhoñkoñ se har baar vo parde hilnā

parde ko pakaḌne dhun meñ do ajnabī hāthoñ milnā

āñkhoñ meñ dhuāñ chhā jaanā sāñsoñ meñ sitāre se khulnā

raste meñ tumhārā muḌ muḌ kar taknā vo mujhe jaate jaate

aur merā ThiThak kar ruk jaanā chilman ke qarīb aate aate

nazroñ taras kar rah jaanā ik aur jhalak paate paate

bāloñ ko sukhāne ḳhātir koThe pe vo merā aa jaanā

aur tum ko muqābil paate kuchh sharmānā kuchh bal khānā

ham-sāyoñ ke Dar se katrānā ghar vāloñ ke Dar se ghabrānā

ro ro ke tumheñ ḳhat likhtī huuñ aur ḳhud paḌh kar ro letī huuñ

hālāt ke tapte tūfāñ meñ jazbāt kashtī khetī huuñ

kaise ho kahāñ ho kuchh to kaho maiñ tum ko sadā.eñ detī huuñ

maiñ jab bhī akelī hotī huuñ tum chupke se aa jaate ho

aur jhāñk ke merī āñkhoñ meñ biite din yaad dilāte ho

main jab bhi akeli hoti hun tum chupke se aa jate ho

aur jhank ke meri aankhon mein bite din yaad dilate ho

mastana hawa ke jhonkon se har bar wo parde ka hilna

parde ko pakaDne ki dhun mein do ajnabi hathon ka milna

aankhon mein dhuan sa chha jaana sanson mein sitare se khulna

raste mein tumhaara muD muD kar takna wo mujhe jate jate

aur mera ThiThak kar ruk jaana chilman ke qarib aate aate

nazron ka taras kar rah jaana ek aur jhalak pate pate

baalon ko sukhane ki KHatir koThe pe wo mera aa jaana

aur tum ko muqabil pate hi kuchh sharmana kuchh bal khana

ham-sayon ke Dar se katrana ghar walon ke Dar se ghabrana

ro ro ke tumhein KHat likhti hun aur KHud paDh kar ro leti hun

haalat ke tapte tufan mein jazbaat ki kashti kheti hun

kaise ho kahan ho kuchh to kaho main tum ko sadaen deti hun

main jab bhi akeli hoti hun tum chupke se aa jate ho

aur jhank ke meri aankhon mein bite din yaad dilate ho

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 389)
  • Author : SAHIR LUDHIANVI
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now