ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo
ye daulat bhī le lo ye shohrat bhī le lo
bhale chhīn lo mujh se merī javānī
magar mujh ko lauTā do bachpan kā sāvan
vo kāġhaz kī kashtī vo bārish kā paanī
mohalle kī sab se purānī nishānī
vo buḌhiyā jise bachche kahte the naanī
vo naanī kī bātoñ meñ pariyoñ kā Derā
vo chehre kī jhurriyoñ meñ sadiyoñ kā pherā
bhulā.e nahīñ bhuul saktā hai koī
vo chhoTī sī rāteñ vo lambī kahānī
khaḌī dhuup meñ apne ghar se nikalnā
vo chiḌiyāñ vo bulbul vo titlī pakaḌnā
vo guḌiyā kī shādī meñ laḌnā jhagaḌnā
vo jhūloñ se girnā vo gir ke sambhalnā
vo pītal ke chhalloñ ke pyāre se tohfe
vo TuuTī huī chūḌiyoñ kī nishānī
kabhī ret ke ūñche Tīloñ pe jaanā
gharauñde banānā banā ke miTānā
vo ma.asūm chāhat kī tasvīr apnī
vo ḳhvāboñ-ḳhayāloñ kī jāgīr apnī
na duniyā kā ġham thā na rishtoñ kā bandhan
baḌī ḳhūb-sūrat thī vo zindagānī
ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo
bhale chhin lo mujh se meri jawani
magar mujh ko lauTa do bachpan ka sawan
wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani
mohalle ki sab se purani nishani
wo buDhiya jise bachche kahte the nani
wo nani ki baaton mein pariyon ka Dera
wo chehre ki jhurriyon mein sadiyon ka phera
bhulae nahin bhul sakta hai koi
wo chhoTi si raaten wo lambi kahani
khaDi dhup mein apne ghar se nikalna
wo chiDiyan wo bulbul wo titli pakaDna
wo guDiya ki shadi mein laDna jhagaDna
wo jhulon se girna wo gir ke sambhalna
wo pital ke chhallon ke pyare se tohfe
wo TuTi hui chuDiyon ki nishani
kabhi ret ke unche Tilon pe jaana
gharaunde banana bana ke miTana
wo masum chahat ki taswir apni
wo KHwabon-KHayalon ki jagir apni
na duniya ka gham tha na rishton ka bandhan
baDi KHub-surat thi wo zindagani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.