husn ke jaziiro.n me.n ruup ke kinaaro.n par
Interesting Fact
Drama:Parizaad-2021
husn ke jaziiro.n me.n ruup ke kinaaro.n par
reshmii a.ndhere hai.n surma.ii ujaale hai.n
ik naaz-aafrii.n dil par qabza jamaa.e baiThii hai
jis kii jhiil aa.nkho.n me.n do niilguu.n se pyaale hai.n
na puuchh parii-zaado.n se ye hijr kaise jhelaa hai
ye tan badan to chhalnii hai aur ruuh par bhii chhaale hai.n
kaise jaan paa.oge 'ishq me.n kyaa guzrii hai
kitne zaKHm khaa.e hai.n kitne dard paale hai.n
KHvaahisho.n ke jangal me.n hasrato.n ke bistar par
jism to gulaabii hai.n aur dil se kaale hai.n
mai.n ruup kaa pujaarii huu.n mai.n lams kaa bhikaarii huu.n
lekin jahaa.n mai.n bastaa huu.n vahaa.n mandiro.n pe taale hai.n
kyaa 'ishq vo nibhaa.e.nge kyaa husn ko vo saraahe.nge
taariik jin ke chehre hai.n muqaddaro.n pe jaale hai.n
dushmano.n se kyaa shikva kyaa gila raqiibo.n se
ye saa.np aastiino.n me.n ham ne KHud hii paale hai.n

ye tan-badan to chhalnii hai aur ruuh par bhii chhaale hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.