Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi se baDi saza hi nahin

Krishn Bihari Noor

zindagi se baDi saza hi nahin

Krishn Bihari Noor

zindagī se baḌī sazā nahīñ

aur kyā jurm hai patā nahīñ

itne hissoñ meñ baT gayā huuñ maiñ

mere hisse meñ kuchh bachā nahīñ

zindagī maut terī manzil hai

dūsrā koī rāsta nahīñ

sach ghaTe baḌhe to sach na rahe

jhuuT koī intihā nahīñ

zindagī ab batā kahāñ jaa.eñ

zahr bāzār meñ milā nahīñ

jis ke kāran fasād hote haiñ

us koī atā-patā nahīñ

kaise autār kaise paiġhambar

aisā lagtā hai ab ḳhudā nahīñ

chāhe sone ke frame meñ jaḌ do

ā.īna jhuuT boltā nahīñ

apnī rachnāoñ meñ vo zinda hai

'nūr' sansār se gayā nahīñ

zindagi se baDi saza hi nahin

aur kya jurm hai pata hi nahin

itne hisson mein baT gaya hun main

mere hisse mein kuchh bacha hi nahin

zindagi maut teri manzil hai

dusra koi rasta hi nahin

sach ghaTe ya baDhe to sach na rahe

jhuT ki koi intiha hi nahin

zindagi ab bata kahan jaen

zahr bazar mein mila hi nahin

jis ke karan fasad hote hain

us ka koi ata-pata hi nahin

kaise autar kaise paighambar

aisa lagta hai ab KHuda hi nahin

chahe sone ke frame mein jaD do

aaina jhuT bolta hi nahin

apni rachnaon mein wo zinda hai

'nur' sansar se gaya hi nahin

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Krishn Bihari Noor

Krishn Bihari Noor

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now