Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye main kahunga falak pe ja kar zamin se aaya hun tang aa kar

Bayan Meeruthi

ye main kahunga falak pe ja kar zamin se aaya hun tang aa kar

Bayan Meeruthi

ye maiñ kahūñgā falak pe kar zamīñ se aayā huuñ tañg aa kar

jo ai masīhā hai masīhā to kuchh mire dard davā kar

tumhāre jalve ġhazab ke dekhe tumhāre chhīñTe balā ke paa.e

lagā lagā bujhā bujhā kar bujhā bujhā lagā lagā kar

zideñ mohabbat se aisī aa.iiñ ḳhayāl rakkhā na apne ghar

butoñ ne ka.abe ko muft Dhāyā kisī ke dil ko dukhā dukhā kar

vo shoḳh be-e'tibār kāfir rahā na tanhā gayā na tanhā

jo dard uTThā uThā uThā kar to dil ko baiThā biThā biThā kar

ye zor hirmān-o-yās hai asar kahāñ mirī fuġhāñ ko

paTak paTak ḳhaak par diyā hai falak se ūñchā uThā uThā kar

gudāz karte haiñ mere dil ko vo yuuñ biThāte haiñ apnā sikka

jalī kaTī ho rahī hai kyā kyā adū se mujh ko sunā sunā kar

sunī kisī ne sadā-e-tūtī na hālat-e-andalīb dekhī

jo kor thī is chaman meñ nargis to gul bhī ai ham-safīr thā kar

kahīñ na zulfoñ se khul paḌā ho mujhe hai andesha apne dil

ki purze purze uḌā rahā thā adū koī shai dikhā dikhā kar

vo but ki deñ us ko to na gar de to laakh tūfāñ uThā ke dhar de

zabān phir saaf qat.a kar de jo muñh se nikle ḳhudā ḳhudā kar

ilāhī hañgām-e-āmad-āmad ye kis qayāmat-ḳhirām hai

khisak chale sehn-e-bostāñ se tadrau-o-tā.ūs dum dabā kar

falak huā mehrbāñ phire din shab-e-visāl aa ga.ī to is ne

bahār-e-lutf-o-karam dikhā kar naqāb-e-sharm-o-hayā uThā kar

kabhī hañsāyā kabhī rulāyā kabhī rulāyā kabhī hañsāyā

jhijak jhijak kar simaT simaT kar lipaT lipaT kar dabā dabā kar

'bayāñ' hai vo bādshāh-e-asrā ki jis dargāh-e-ḳhusravī meñ

diyā zamīn-e-adab ko bosa falak ne gardan jhukā jhukā kar

ye main kahunga falak pe ja kar zamin se aaya hun tang aa kar

jo ai masiha tu hai masiha to kuchh mere dard ki dawa kar

tumhaare jalwe ghazab ke dekhe tumhaare chhinTe bala ke pae

laga laga di bujha bujha kar bujha bujha di laga laga kar

ziden mohabbat se aisi aain KHayal rakkha na apne ghar ka

buton ne kabe ko muft Dhaya kisi ke dil ko dukha dukha kar

wo shoKH be-e'tibar kafir raha na tanha gaya na tanha

jo dard uTTha uTha uTha kar to dil ko baiTha biTha biTha kar

ye zor hirman-o-yas ka hai asar kahan ka meri fughan ko

paTak paTak KHak par diya hai falak se uncha uTha uTha kar

gudaz karte hain mere dil ko wo yun biThate hain apna sikka

jali kaTi ho rahi hai kya kya adu se mujh ko suna suna kar

suni kisi ne sada-e-tuti na haalat-e-andalib dekhi

jo kor thi is chaman mein nargis to gul bhi ai ham-safir tha kar

kahin na zulfon se khul paDa ho mujhe hai andesha apne dil ka

ki purze purze uDa raha tha adu koi shai dikha dikha kar

wo but ki den us ko to na gar de to lakh tufan uTha ke dhar de

zaban phir saf qata kar de jo munh se nikle KHuda KHuda kar

ilahi hangam-e-amad-amad ye kis qayamat-KHiram ka hai

khisak chale sehn-e-bostan se tadrau-o-taus dum daba kar

falak hua mehrban phire din shab-e-visal aa gai to is ne

bahaar-e-lutf-o-karam dikha kar naqab-e-sharm-o-haya uTha kar

kabhi hansaya kabhi rulaya kabhi rulaya kabhi hansaya

jhijak jhijak kar simaT simaT kar lipaT lipaT kar daba daba kar

'bayan' hai wo baadshah-e-asra ki jis ki dargah-e-KHusrawi mein

diya zamin-e-adab ko bosa falak ne gardan jhuka jhuka kar

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now