ye mana zindagi mein gham bahut hain
ye maanā zindagī meñ ġham bahut haiñ
hañse bhī zindagī meñ ham bahut haiñ
tirī zulfoñ ko kyā suljhā.ūñ ai dost
mirī rāhoñ meñ pech-o-ḳham bahut haiñ
nahīñ hai munhasir kuchh fasl-e-gul par
junūñ ke aur bhī mausam bahut haiñ
ġhubār-ālūda chehroñ par na jaanā
inhīñ meñ kīqabād-o-jam bahut haiñ
mujhe kuchh saaz hai nashtar se varna
mire zaḳhmoñ ke yaañ marham bahut haiñ
qafas ye jaan kar toḌā thā maiñ ne
qafas ko toḌ kar bhī ġham bahut haiñ
karūñ kyā chāra in āñkhoñ kā 'maikash'
ki un ke sāmne pur-nam bahut haiñ
ye mana zindagi mein gham bahut hain
hanse bhi zindagi mein hum bahut hain
teri zulfon ko kya suljhaun ai dost
meri rahon mein pech-o-KHam bahut hain
nahin hai munhasir kuchh fasl-e-gul par
junun ke aur bhi mausam bahut hain
ghubar-aluda chehron par na jaana
inhin mein kiqabaad-o-jam bahut hain
mujhe kuchh saz hai nashtar se warna
mere zaKHmon ke yan marham bahut hain
qafas ye jaan kar toDa tha main ne
qafas ko toD kar bhi gham bahut hain
karun kya chaara in aankhon ka 'maikash'
ki un ke samne pur-nam bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.