Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhein bhi chaha, zamane se bhi wafa ki thi

Iftikhar Mughal

tumhein bhi chaha, zamane se bhi wafa ki thi

Iftikhar Mughal

tumheñ bhī chāhā, zamāne se bhī vafā thī

ye nig.h-dārī junūñ ne judā judā thī

vo saarā qissa faqat rakh-rakhāv to na thā

us ek naam se nisbat bhī intihā thī

kisī chhabīle meñ vo chhab nazar nahīñ aa.ī

vo ek chhab ki jo us ā.īna-qabā thī

ḳhudā! sila de duā kaa, mohabbatoñ ke ḳhudā

ḳhudā! kisī ne kisī ke liye duā thī

maiñ apnā chehra kahāñ DhūñDhtā phiruñgā ab

ki maiñ ne terī jabīñ apnā aa.inā thī

hameñ tabāh to honā thā apnī apnī jagah!

tavīl jañg thī aur jañg bhī anā thī

sabā-nafas thā vo aur maiñ thā gard-bād-mizāj

hamāre biich thī jo qadr so havā thī

tumhein bhi chaha, zamane se bhi wafa ki thi

ye nigh-dari junun ne juda juda ki thi

wo sara qissa faqat rakh-rakhaw ka to na tha

us ek nam se nisbat bhi intiha ki thi

kisi chhabile mein wo chhab nazar nahin aai

wo ek chhab ki jo us aaina-qaba ki thi

KHuda! sila de dua ka, mohabbaton ke KHuda

KHuda! kisi ne kisi ke liye dua ki thi

main apna chehra kahan DhunDhta phirunga ab

ki main ne teri jabin apna aaina ki thi

hamein tabah to hona tha apni apni jagah!

tawil jang thi aur jang bhi ana ki thi

saba-nafas tha wo aur main tha gard-baad-mizaj

hamare bich thi jo qadr so hawa ki thi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now