Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thi alag rah magar tark mohabbat nahin ki

Zafar Gorakhpuri

thi alag rah magar tark mohabbat nahin ki

Zafar Gorakhpuri

thī alag raah magar tark mohabbat nahīñ

us ne bhī sochā bahut ham ne bhī ujlat nahīñ

ne jo dard daulat hameñ thī us meñ

kuchh izāfa kiyā ham ne ḳhayānat nahīñ

zāviya kyā hai jo kartā hai tujhe sab se alag

kyuuñ tire ba.ad kisī aur hasrat nahīñ

aa.e aur aa ke chale bhī ga.e kyā kyā mausam

tum ne darvāza karne himmat nahīñ

apne atvār meñ kitnā baḌā shātir hogā

zindagī tujh se kabhī jis ne shikāyat nahīñ

ek ik saañs apne se liyā saḳht hisāb

ham bhī kyā the kabhī ḳhud se bhī muravvat nahīñ

thi alag rah magar tark mohabbat nahin ki

us ne bhi socha bahut hum ne bhi ujlat nahin ki

tu ne jo dard ki daulat hamein di thi us mein

kuchh izafa hi kiya hum ne KHayanat nahin ki

zawiya kya hai jo karta hai tujhe sab se alag

kyun tere baad kisi aur ki hasrat nahin ki

aae aur aa ke chale bhi gae kya kya mausam

tum ne darwaza hi wa karne ki himmat nahin ki

apne atwar mein kitna baDa shatir hoga

zindagi tujh se kabhi jis ne shikayat nahin ki

ek ek sans ka apne se liya saKHt hisab

hum bhi kya the kabhi KHud se bhi murawwat nahin ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now