Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tha qasd-e-qatl-e-ghair magar main talab hua

Asad Ali Khan Qalaq

tha qasd-e-qatl-e-ghair magar main talab hua

Asad Ali Khan Qalaq

thā qasd-e-qatl-e-ġhair magar maiñ talab huā

jallād mehrbān huā kyā sabab huā

afsos kuchh na merī rihā.ī Dhab huā

chhūTā udhar qafas se idhar maiñ talab huā

tashrīf laa.e aap jo maiñ jāñ-ba-lab huā

us vaqt ke bhī aane mujh ko ajab huā

niklegī ab na hasart-e-qatl ai nigāh-e-yās

qātil ko rahm aa gayā mujh par ġhazab huā

ho jā.egā kuchh aur rañg ahl-e-hashr

qātil se ḳhūñ-bahā jo hamārā talab huā

shāyad baḌhā.īñ yaar ne mannat beḌiyāñ

ab mujhe junūñ na huā kyā sabab huā

pinhāñ tamām zulmat-e-kufr-o-sitam huī

tāle.a jūñhī vo mehr-e-sip.har-e-arab huā

ham Duub jā.eñge araq-e-infi.āl meñ

a.amāl-nāma hashr meñ jis dam talab huā

itnā to jazb-e-dil ne dikhāyā mujhe asar

chain us ko bhī na aayā maiñ betāb jab huā

rote the aql-o-hosh ko ham to ishq meñ

lo ab to dil se sabr bhī ruḳhsat-talab huā

ai be-ḳhudī-e-dil mujhe ye bhī ḳhabar nahīñ

kis din bahār aa.ī maiñ dīvāna kab huā

shādī shab-e-visāl mātam huī mujhe

hañgām-e-sub.h-e-yār jo ruḳhsat-talab huā

bose dikhā dikhā ke hameñ le rahā hai ye

kyuuñ itnā be-lihāz tirā ḳhāl-e-lab huā

kyā jaan kar malāl diye kab thā ġhubār

kis roz āsmāñ se maiñ rāhat-talab huā

duniyā meñ ai 'qalaq' jo pur-armān ham rahe

nāshād nā-murād hamārā laqab huā

tha qasd-e-qatl-e-ghair magar main talab hua

jallad mehrban hua kya sabab hua

afsos kuchh na meri rihai ka Dhab hua

chhuTa udhar qafas se idhar main talab hua

tashrif lae aap jo main jaan-ba-lab hua

us waqt ke bhi aane ka mujh ko ajab hua

niklegi ab na hasart-e-qatl ai nigah-e-yas

qatil ko rahm aa gaya mujh par ghazab hua

ho jaega kuchh aur hi rang ahl-e-hashr ka

qatil se KHun-baha jo hamara talab hua

shayad baDhain yar ne mannat ki beDiyan

ab ki mujhe junun na hua kya sabab hua

pinhan tamam zulmat-e-kufr-o-sitam hui

talea junhi wo mehr-e-siphar-e-arab hua

hum Dub jaenge araq-e-infial mein

aamal-nama hashr mein jis dam talab hua

itna to jazb-e-dil ne dikhaya mujhe asar

chain us ko bhi na aaya main betab jab hua

rote the aql-o-hosh hi ko hum to ishq mein

lo ab to dil se sabr bhi ruKHsat-talab hua

ai be-KHudi-e-dil mujhe ye bhi KHabar nahin

kis din bahaar aai main diwana kab hua

shadi shab-e-visal ki matam hui mujhe

hangam-e-subh-e-yar jo ruKHsat-talab hua

bose dikha dikha ke hamein le raha hai ye

kyun itna be-lihaz tera KHal-e-lab hua

kya jaan kar malal diye kab ka tha ghubar

kis roz aasman se main rahat-talab hua

duniya mein ai 'qalaq' jo pur-arman hum rahe

nashad na-murad hamara laqab hua

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

tha qasd-e-qatl-e-ghair magar main talab hua Nomaan Shauque

Source :
  • Mazhar-e-Ishq
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now