Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shauq jab bhi bandagi ka rahnuma hota nahin

Ibn-e-Mufti

shauq jab bhi bandagi ka rahnuma hota nahin

Ibn-e-Mufti

shauq jab bhī bandagī rahnumā hotā nahīñ

zindagī se zindagī haq adā hotā nahīñ

kyā samajh ā.eñgī tum ko ishq bārīkiyāñ

dil tumhārā jab talak dard-āshnā hotā nahīñ

ruuh o tan ishq ye qaa.em rahegā dā.imī

ḳhatm ba.ad-e-marg bhī ye silsila hotā nahīñ

kaun hai jo jurm karne ko hai shab muntazir

raushnī meñ din yaaro kyā bhalā hotā nahīñ

ġhāliban hotā mujhe bhī ghar ke girne gila

rāhgīroñ agar ye rāsta hotā nahīñ

bad-gumānī fazā meñ kyā safā.ī deñ tumheñ

is fazā meñ koī bhī hal mas.ala hotā nahīñ

ik zarā baat pe ye muñh banānā rūThnā

is tarah to koī apnoñ se ḳhafā hotā nahīñ

koī gustāḳhī to hai naav ne girdāb se

varna yuuñ sāhil pe koī ġham-zada hotā nahīñ

kamra-e-taqdīr meñ aatī urūs-e-ārzū

vaqt-e-nā-hanjār jo faisla hotā nahīñ

aañkh se piine bhī saaqī ne māñgā hai hisāb

is ravish se yaaro koī mai-kada hotā nahīñ

'muftī' dekho mahr palTā hai mirī taqdīr

dekhte haiñ kis tarah sajda adā hotā nahīñ

shauq jab bhi bandagi ka rahnuma hota nahin

zindagi se zindagi ka haq ada hota nahin

kya samajh aaengi tum ko ishq ki barikiyan

dil tumhaara jab talak dard-ashna hota nahin

ruh o tan ka ishq ye qaem rahega daimi

KHatm baad-e-marg bhi ye silsila hota nahin

kaun hai jo jurm karne ko hai shab ka muntazir

raushni mein din ki yaro kya bhala hota nahin

ghaaliban hota mujhe bhi ghar ke girne ka gila

rahgiron ka agar ye rasta hota nahin

bad-gumani ki faza mein kya safai den tumhein

is faza mein koi bhi hal masala hota nahin

ek zara si baat pe ye munh banana ruThna

is tarah to koi apnon se KHafa hota nahin

koi gustaKHi to ki hai naw ne girdab se

warna yun sahil pe koi gham-zada hota nahin

kamra-e-taqdir mein aati urus-e-arzu

waqt-e-na-hanjar ka jo faisla hota nahin

aankh se pine ka bhi saqi ne manga hai hisab

is rawish se yaro koi mai-kada hota nahin

'mufti' dekho mahr palTa hai meri taqdir ka

dekhte hain kis tarah sajda ada hota nahin

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now