Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundar aankh se ojhal zara nahin hota

Parveen Kumar Ashk

samundar aankh se ojhal zara nahin hota

Parveen Kumar Ashk

samundar aañkh se ojhal zarā nahīñ hotā

nadī ko Dar kisī chaTTān nahīñ hotā

vo jab bhī rotā hai maiñ saath saath rotā huuñ

maze baat hai us ko patā nahīñ hotā

musāfiroñ ke liye manzileñ hotī haiñ

musāfiroñ ke liye rāsta nahīñ hotā

tamāshā-gāh meñ kis tamāshā hotā hai

tamāsh-bīnoñ ko us patā nahīñ hotā

maiñ roz phone par us ko sadā.eñ detā huuñ

ḳhudā ke saath mirā rābta nahīñ hotā

jahāñ mileñ unheñ sajda guzāriye sāhab

mohabbatoñ ke liye sochnā nahīñ hotā

vahāñ charāġh jalātā huuñ zindagī 'ashk'

jahāñ havā ke liye rāsta nahīñ hotā

samundar aankh se ojhal zara nahin hota

nadi ko Dar kisi chaTTan ka nahin hota

wo jab bhi rota hai main sath sath rota hun

maze ki baat hai us ko pata nahin hota

musafiron ke liye manzilen hi hoti hain

musafiron ke liye rasta nahin hota

tamasha-gah mein kis ka tamasha hota hai

tamash-binon ko us ka pata nahin hota

main roz phone par us ko sadaen deta hun

KHuda ke sath mera rabta nahin hota

jahan milen unhen sajda guzariye sahab

mohabbaton ke liye sochna nahin hota

wahan charagh jalata hun zindagi ka 'ashk'

jahan hawa ke liye rasta nahin hota

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now