Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabhon se yun to hai dil aap ka KHush

Meer Mohammadi Bedar

sabhon se yun to hai dil aap ka KHush

Meer Mohammadi Bedar

sabhoñ se yuuñ to hai dil aap ḳhush

agar pūchho to hai ham se nā-ḳhush

ḳhushī terī hai manzūr ham ko

balā se gar koī nā-ḳhush ho ḳhush

ravāq-e-chashm o qasr-e-dil kiyā sair

na par aap ne yaañ koī ḳhush

jafā kar vafā muḳhtār hai

mujhe yaksāñ hai kyā nā-ḳhush hai kyā ḳhush

nahīñ us meñ to ġhair-az-jaur lekin

mujhe kyā jaane kyā aa.ī adā ḳhush

kiyā hai garche nā-ḳhush ne ham ko

rakhe par ai butāñ tum ko ḳhudā ḳhush

ḳhushī hai sab ko roz-e-īd yaañ

hue haiñ mil ke bāham āshnā ḳhush

bhalā kuchh bhī munāsib hai mirī jaañ

ki ho aaj ke din mujh se nā-ḳhush

batā aisī koī tadbīr 'bedār'

ki jis se hove merā dilrubā ḳhush

sabhon se yun to hai dil aap ka KHush

agar puchho to hai hum se hi na-KHush

KHushi teri hi hai manzur hum ko

bala se gar koi na-KHush ho ya KHush

rawaq-e-chashm o qasr-e-dil kiya sair

na ki par aap ne yan koi ja KHush

jafa kar ya wafa muKHtar hai tu

mujhe yaksan hai kya na-KHush hai kya KHush

nahin us mein to ghair-az-jaur lekin

mujhe kya jaane kya aai ada KHush

kiya hai garche na-KHush tu ne hum ko

rakhe par ai butan tum ko KHuda KHush

KHushi hai sab ko roz-e-id ki yan

hue hain mil ke baham aashna KHush

bhala kuchh bhi munasib hai meri jaan

ki ho tu aaj ke din mujh se na-KHush

bata aisi koi tadbir 'bedar'

ki jis se howe mera dilruba KHush

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now