Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat wahshat se gurezan tha main aahu ki tarah

Ata Turab

raat wahshat se gurezan tha main aahu ki tarah

Ata Turab

raat vahshat se gurezāñ thā maiñ aahū tarah

paañv paḌtī rahī zanjīr bhī ghuñgrū tarah

ab tire lauT ke aane koī aas nahīñ

judā mujh se huā aañkh se aañsū tarah

ab hameñ apnī jihālat pe hañsī aatī hai

ham kabhī ḳhud ko samajhte the arastū tarah

haañ tujhe bhī to mayassar nahīñ tujh koī

hai tirā arsh bhī vīrāñ mire pahlū tarah

naaz o andāz meñ shā.ista vo husn-e-nafīs

hū-ba-hū jān-e-ġhazal hai mirī urdu tarah

raat wahshat se gurezan tha main aahu ki tarah

panw paDti rahi zanjir bhi ghungru ki tarah

ab tere lauT ke aane ki koi aas nahin

tu juda mujh se hua aankh se aansu ki tarah

ab hamein apni jihaalat pe hansi aati hai

hum kabhi KHud ko samajhte the arastu ki tarah

han tujhe bhi to mayassar nahin tujh sa koi

hai tera arsh bhi viran mere pahlu ki tarah

naz o andaz mein shaista sa wo husn-e-nafis

hu-ba-hu jaan-e-ghazal hai meri urdu ki tarah

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now