Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahat-e-jaan se to ye dil ka wabaal achchha hai

Adeem Hashmi

rahat-e-jaan se to ye dil ka wabaal achchha hai

Adeem Hashmi

rāhat-e-jāñ se to ye dil vabāl achchhā hai

us ne pūchhā to hai itnā tirā haal achchhā hai

maah achchhā hai bahut na ye saal achchhā hai

phir bhī har ek se kahtā huuñ ki haal achchhā hai

tire aane se koī hosh rahe na rahe

ab talak to tire bīmār haal achchhā hai

ye bhī mumkin hai tirī baat ban jaa.e koī

use de de koī achchhī misāl achchhā hai

daa.eñ ruḳhsār pe ātish chamak vaj.h-e-jamāl

baa.eñ ruḳhsār āġhosh meñ ḳhaal achchhā hai

aao phir dil ke samundar taraf lauT chaleñ

vahī paanī vahī machhlī vahī jaal achchhā hai

koī dīnār na dirham na riyāl achchhā hai

jo zarūrat meñ ho maujūd vo maal achchhā hai

kyuuñ parakhte ho savāloñ se javāboñ ko 'adīm'

hoñT achchhe hoñ to samjho ki savāl achchhā hai

rahat-e-jaan se to ye dil ka wabaal achchha hai

us ne puchha to hai itna tera haal achchha hai

mah achchha hai bahut hi na ye sal achchha hai

phir bhi har ek se kahta hun ki haal achchha hai

tere aane se koi hosh rahe ya na rahe

ab talak to tere bimar ka haal achchha hai

ye bhi mumkin hai teri baat hi ban jae koi

use de de koi achchhi si misal achchha hai

daen ruKHsar pe aatish ki chamak wajh-e-jamal

baen ruKHsar ki aaghosh mein KHal achchha hai

aao phir dil ke samundar ki taraf lauT chalen

wahi pani wahi machhli wahi jal achchha hai

koi dinar na dirham na riyal achchha hai

jo zarurat mein ho maujud wo mal achchha hai

kyun parakhte ho sawalon se jawabon ko 'adim'

honT achchhe hon to samjho ki sawal achchha hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

rahat-e-jaan se to ye dil ka wabaal achchha hai Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now