Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyasi thi ye KHud mere lahu ki

Javed Lakhnvi

pyasi thi ye KHud mere lahu ki

Javed Lakhnvi

pyāsī thī ye ḳhud mire lahū

thī tez chhurī rag-e-gulū

dil kho ke na maiñ ne justujū

samjhā thā ki buuñd thī lahū

tum paas jo aa.e kho ga.e ham

jab tum na mile to justujū

sab zaḳhm ke Tāñke saath TuuTe

hājat na rahī koī rafū

ḳhud kho ga.e ham jahāñ meñ āḳhir

is had pe kisī justujū

dekhā ki zamīñ se aag niklī

jab buuñd Tapak paḌī lahū

roī vahāñ sham.a yaañ hañse phuul

vo qabr mirī thī ye adū

vo sāmne aa.e ġhash hue ye

muusā nazar kahāñ pe chūkī

tīroñ pe kisī ke baañT bhī duuñ

khaa.ī thī qasam isī lahū

is daaġh ko maiñ ne dil meñ rakkhā

dushman ne na jis aarzū

'jāved' vo laash kyuuñ uThā.eñ

marzī bhī to pūchh leñ adū

pyasi thi ye KHud mere lahu ki

thi tez chhuri rag-e-gulu ki

dil kho ke na main ne justuju ki

samjha tha ki bund thi lahu ki

tum pas jo aae kho gae hum

jab tum na mile to justuju ki

sab zaKHm ke Tanke sath TuTe

hajat na rahi koi rafu ki

KHud kho gae hum jahan mein aaKHir

is had pe kisi ki justuju ki

dekha ki zamin se aag nikli

jab bund Tapak paDi lahu ki

roi wahan shama yan hanse phul

wo qabr meri thi ye adu ki

wo samne aae ghash hue ye

musa ki nazar kahan pe chuki

tiron pe kisi ke banT bhi dun

khai thi qasam isi lahu ki

is dagh ko main ne dil mein rakkha

dushman ne na jis ki aarzu ki

'jawed' wo lash kyun uThaen

marzi bhi to puchh len adu ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now