Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir ek nae safar pe chala hun makan se

Abdur Rahim Nashtar

phir ek nae safar pe chala hun makan se

Abdur Rahim Nashtar

phir ik na.e safar pe chalā huuñ makān se

koī pukārtā hai mujhe āsmān se

āvāz de rahā hai akelā ḳhudā mujhe

maiñ us ko sun rahā huuñ havāoñ ke kaan se

kuchh din to be-gharī tamāsha bhī dekh luuñ

yuuñ bhī hai uchāT purāne makān se

donoñ ham-safar the havāoñ ke dosh par

par maiñ huuñ chuur chuur safar takān se

pairoñ tale dabī hai vahī ret chaTān

mujh ko havā ne pheñk diyā āsmān se

vo zad pe aa gayā thā nihattā bhī thā magar

maiñ ne koī tiir na chhoḌā kamān se

mere laboñ pe khel rahī hai vahī hañsī

har-chand ret ret huā huuñ chaTān se

phir ek nae safar pe chala hun makan se

koi pukarta hai mujhe aasman se

aawaz de raha hai akela KHuda mujhe

main us ko sun raha hun hawaon ke kan se

kuchh din to be-ghari ka tamasha bhi dekh lun

yun bhi hai ji uchaT purane makan se

donon hi ham-safar the hawaon ke dosh par

par main hun chur chur safar ki takan se

pairon tale dabi hai wahi ret ki chaTan

mujh ko hawa ne phenk diya aasman se

wo zad pe aa gaya tha nihatta bhi tha magar

main ne hi koi tir na chhoDa kaman se

mere labon pe khel rahi hai wahi hansi

har-chand ret ret hua hun chaTan se

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now