Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

panw jab ho gae patthar to sada di usne

Tariq Qamar

panw jab ho gae patthar to sada di usne

Tariq Qamar

paañv jab ho ga.e patthar to sadā us ne

faisla karne meñ ḳhud der lagā us ne

ab jo āñkhoñ meñ dhuāñ hai to shikāyat kaisī

yaar ḳhud to charāġhoñ ko havā us ne

ye alag baat ki vo merā ḳharīdār nahīñ

aa ke bāzār raunaq to baḌhā us ne

koī shikva na shikāyat na vazāhat koī

mez se bas mirī tasvīr haTā us ne

raat zanjīr āvāz jo kuchh tez huī

sub.h dīvār pe dīvār uThā us ne

sirf ik raah alag thī vo mire 'ishq raah

aur vo raah bhī duniyā se milā us ne

mere ham-rāh zarā der ko chal kar 'tāriq'

aur kuchh vaqt raftār baḌhā us ne

panw jab ho gae patthar to sada di us ne

faisla karne mein KHud der laga di us ne

ab jo aankhon mein dhuan hai to shikayat kaisi

yar KHud hi to charaghon ko hawa di us ne

ye alag baat ki wo mera KHaridar nahin

aa ke bazar ki raunaq to baDha di us ne

koi shikwa na shikayat na wazahat koi

mez se bas meri taswir haTa di us ne

raat zanjir ki aawaz jo kuchh tez hui

subh diwar pe diwar uTha di us ne

sirf ek rah alag thi wo mere 'ishq ki rah

aur wo rah bhi duniya se mila di us ne

mere ham-rah zara der ko chal kar 'tariq'

aur kuchh waqt ki raftar baDha di us ne

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now