Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na-shagufta kaliyon mein shauq hai tabassum ka

Fareed Javed

na-shagufta kaliyon mein shauq hai tabassum ka

Fareed Javed

nā-shagufta kaliyoñ meñ shauq hai tabassum

baar sah nahīñ saktīñ der tak talātum

jaane kitnī fariyādeñ Dhal rahī haiñ naġhmoñ meñ

chhiḌ rahī hai dukh baat naam hai tarannum

kitne be-karāñ dariyā paar kar liye ham ne

mauj mauj meñ jin zor thā talātum

ai ḳhayāl kaliyo aur muskurā letīñ

kuchh abhī to aayā thā rañg tabassum

guftugū kisī se ho terā dhyān rahtā hai

TuuT TuuT jaatā hai silsila takallum

hasrat o mohabbat se dekhte raho 'jāved'

haath aa nahīñ saktā husn māh-o-anjum

na-shagufta kaliyon mein shauq hai tabassum ka

bar sah nahin saktin der tak talatum ka

jaane kitni fariyaaden Dhal rahi hain naghmon mein

chhiD rahi hai dukh ki baat nam hai tarannum ka

kitne be-karan dariya par kar liye hum ne

mauj mauj mein jin ki zor tha talatum ka

ai KHayal ki kaliyo aur muskura letin

kuchh abhi to aaya tha rang sa tabassum ka

guftugu kisi se ho tera dhyan rahta hai

TuT TuT jata hai silsila takallum ka

hasrat o mohabbat se dekhte raho 'jawed'

hath aa nahin sakta husn mah-o-anjum ka

Source :
  • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 09.10.2015)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now