mujhe dil ki KHata par yas sharmana nahin aata
mujhe dil kī ḳhatā par 'yās' sharmānā nahīñ aatā
parāyā jurm apne naam likhvānā nahīñ aatā
mujhe ai nāḳhudā āḳhir kisī ko muñh dikhānā hai
bahāna kar ke tanhā paar utar jaanā nahīñ aatā
musībat kā pahāḌ āḳhir kisī din kaT hī jā.egā
mujhe sar maar kar teshe se mar jaanā nahīñ aatā
dil-e-be-hausla hai ik zarā sī Thes kā mehmāñ
vo aañsū kyā piyegā jis ko ġham khānā nahīñ aatā
sarāpā raaz huuñ maiñ kyā batāoñ kaun huuñ kyā huuñ
samajhtā huuñ magar duniyā ko samjhānā nahīñ aatā
mujhe dil ki KHata par 'yas' sharmana nahin aata
paraya jurm apne nam likhwana nahin aata
mujhe ai naKHuda aaKHir kisi ko munh dikhana hai
bahana kar ke tanha par utar jaana nahin aata
musibat ka pahaD aaKHir kisi din kaT hi jaega
mujhe sar mar kar teshe se mar jaana nahin aata
dil-e-be-hausla hai ek zara si Thes ka mehman
wo aansu kya piyega jis ko gham khana nahin aata
sarapa raaz hun main kya bataon kaun hun kya hun
samajhta hun magar duniya ko samjhana nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.