Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat kya mohabbat ka sila kya

Aleem Akhtar muzaffarnagri

mohabbat kya mohabbat ka sila kya

Aleem Akhtar muzaffarnagri

mohabbat kyā mohabbat silā kyā

ġham-e-barbādi-e-jins-e-vafā kyā

dil-e-be-mudda.ā mudda.ā kyā

hamārā haal ham se pūchhnā kyā

hameñ duniyā meñ apne ġham se matlab

zamāne ḳhushī se vāstā kyā

sitam-hā-e-farāvāñ chāhtā huuñ

karam aarzū kyā iltijā kyā

ham us ke aur us ġham hamārā

is andāz-e-karam pūchhnā kyā

rahā dil ko na ab zauq-e-sitam kyuuñ

vo haiñ āmāda-e-tark-e-jafā kyā

tire ġham ke sahāre rahe haiñ

hamārī aarzū kyā mudda.ā kyā

bahāroñ par ḳhizāñ sarf-e-asar hai

ma.āl-e-ġhunch-o-gul dekhnā kyā

ta.alluq aur tire ġham se ta.alluq

urūj-e-baḳht-e-'aḳhtar' pūchhnā kyā

mohabbat kya mohabbat ka sila kya

gham-e-barbaadi-e-jins-e-wafa kya

dil-e-be-muddaa ka muddaa kya

hamara haal hum se puchhna kya

hamein duniya mein apne gham se matlab

zamane ki KHushi se wasta kya

sitam-ha-e-farawan chahta hun

karam ki aarzu kya iltija kya

hum us ke aur us ka gham hamara

is andaz-e-karam ka puchhna kya

raha dil ko na ab zauq-e-sitam kyun

wo hain aamada-e-tark-e-jafa kya

tere gham ke sahaare ji rahe hain

hamari aarzu kya muddaa kya

bahaaron par KHizan sarf-e-asar hai

maal-e-ghunch-o-gul dekhna kya

talluq aur tere gham se talluq

uruj-e-baKHt-e-'aKHtar' puchhna kya

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

mohabbat kya mohabbat ka sila kya Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now