Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mile mujhko gham se fursat to sunaun wo fasana

Moin Ahsan Jazbi

mile mujhko gham se fursat to sunaun wo fasana

Moin Ahsan Jazbi

mile mujh ko ġham se fursat to sunā.ūñ vo fasāna

ki Tapak paḌe nazar se mai-e-ishrat-e-shabāna

yahī zindagī musībat yahī zindagī musarrat

yahī zindagī haqīqat yahī zindagī fasāna

kabhī dard tamannā kabhī koshish-e-mudāvā

kabhī bijliyoñ ḳhvāhish kabhī fikr-e-āshiyāna

mire qahqahoñ zad par kabhī gardisheñ jahāñ

mire āñsuoñ rau meñ kabhī talḳhī-e-zamāna

mirī rif.atoñ se larzāñ kabhī mehr-o-māh o anjum

mirī pastiyoñ se ḳhā.if kabhī auj-e-ḳhusravāna

kabhī maiñ huuñ tujh se nālāñ kabhī mujh se pareshāñ

kabhī maiñ tirā hadaf huuñ kabhī mirā nishāna

jise sakā na zāhid jise chhū sakā na suufī

vahī taar chheḌtā hai mirā soz-e-shā.irāna

mile mujh ko gham se fursat to sunaun wo fasana

ki Tapak paDe nazar se mai-e-ishrat-e-shabana

yahi zindagi musibat yahi zindagi musarrat

yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana

kabhi dard ki tamanna kabhi koshish-e-mudawa

kabhi bijliyon ki KHwahish kabhi fikr-e-ashiyana

mere qahqahon ki zad par kabhi gardishen jahan ki

mere aansuon ki rau mein kabhi talKHi-e-zamana

meri rifaton se larzan kabhi mehr-o-mah o anjum

meri pastiyon se KHaif kabhi auj-e-KHusrawana

kabhi main hun tujh se nalan kabhi mujh se tu pareshan

kabhi main tera hadaf hun kabhi tu mera nishana

jise pa saka na zahid jise chhu saka na sufi

wahi tar chheDta hai mera soz-e-shairana

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

mile mujhko gham se fursat to sunaun wo fasana Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now