Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere pyar ka qissa to har basti mein mashhur hai chand

Shabnam Rumani

mere pyar ka qissa to har basti mein mashhur hai chand

Shabnam Rumani

mere pyaar qissa to har bastī meñ mash.hūr hai chāñd

kis dhun meñ ġhaltāñ pechāñ kis nashshe meñ chuur hai chāñd

terī ḳhanda-peshānī meñ kab tak farq na aa.egā

sadiyoñ se ahl-e-zamīñ ḳhidmat par māmūr hai chāñd

ahl-e-nazar hañs hañs kar tujh ko māh-e-kāmil kahte haiñ!

tere dil daaġh tujhī par tanz hai aur bharpūr hai chāñd

tere ruḳh par zardī chhā.ī maiñ ab tak māyūs nahīñ

terī manzil paas aa pahuñchī merī manzil duur hai chāñd

koī nahīñ hamrāz-e-tamannā koī nahīñ dam-sāz-e-safar

rāh-e-vafā meñ tanhā tanhā chalne par majbūr hai chāñd

ishq hai aur kāñToñ bistar husn hai aur phūloñ sej

tujh ko kaise samjhā.ūñ ye duniyā dastūr hai chāñd

terī tābish se raushan haiñ gul bhī aur vīrāne bhī

kyā bhī is hañstī-gātī duniyā mazdūr hai chāñd

mere pyar ka qissa to har basti mein mashhur hai chand

tu kis dhun mein ghaltan pechan kis nashshe mein chur hai chand

teri KHanda-peshani mein kab tak farq na aaega

tu sadiyon se ahl-e-zamin ki KHidmat par mamur hai chand

ahl-e-nazar hans hans kar tujh ko mah-e-kaamil kahte hain!

tere dil ka dagh tujhi par tanz hai aur bharpur hai chand

tere ruKH par zardi chhai main ab tak mayus nahin

teri manzil pas aa pahunchi meri manzil dur hai chand

koi nahin hamraaz-e-tamanna koi nahin dam-saz-e-safar

rah-e-wafa mein tanha tanha chalne par majbur hai chand

ishq hai aur kanTon ka bistar husn hai aur phulon ki sej

tujh ko kaise samjhaun ye duniya ka dastur hai chand

teri tabish se raushan hain gul bhi aur virane bhi

kya tu bhi is hansti-gati duniya ka mazdur hai chand

Source :
  • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 402)
  • Author : Aziz Nabeel
  • Publication : Edarah Dastavez (2010)
  • Edition : 2010

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now