Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzil ki dhum dham se jab ji uchaT gaya

Kalidas Gupta Raza

manzil ki dhum dham se jab ji uchaT gaya

Kalidas Gupta Raza

manzil dhuum dhaam se jab uchaT gayā

rah-gīr jaise saiñkaḌoñ rastoñ meñ baT gayā

afsos dil tak aane rāheñ na khul sakīñ

koī faqat ḳhayāl tak aa kar palaT gayā

ham taul baiThe sub.h-dam insāñ ko saa.e se

sūraj ke sar pe aate saayā simaT gayā

kyā jaane kis chaTān se Takrā gayā hai dil

chaltā huā safīna achānak ulaT gayā

ab koī DhūñD-DhāñD ke laao nayā vajūd

insān to bulandi-e-insāñ se ghaT gayā

manzil pe gard-e-vahm-o-gumāñ thī vo dhul ga.ī

raste meñ aql o hosh patthar thā haT gayā

mahfil bhī nūr-bār hai saaqī bhī ḳhum ba-dosh

mere naav nosh meyār ghaT gayā

manzil kahīñ milī na milī lekin ai 'razā'

manzil ke ishtiyāq meñ rastā to kaT gayā

manzil ki dhum dham se jab ji uchaT gaya

rah-gir jaise sainkaDon raston mein baT gaya

afsos dil tak aane ki rahen na khul sakin

koi faqat KHayal tak aa kar palaT gaya

hum taul baiThe subh-dam insan ko sae se

suraj ke sar pe aate hi saya simaT gaya

kya jaane kis chaTan se Takra gaya hai dil

chalta hua safina achanak ulaT gaya

ab koi DhunD-DhanD ke lao naya wajud

insan to bulandi-e-insan se ghaT gaya

manzil pe gard-e-wahm-o-guman thi wo dhul gai

raste mein aql o hosh ka patthar tha haT gaya

mahfil bhi nur-bar hai saqi bhi KHum ba-dosh

mere hi naw nosh ka meyar ghaT gaya

manzil kahin mili na mili lekin ai 'raza'

manzil ke ishtiyaq mein rasta to kaT gaya

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

manzil ki dhum dham se jab ji uchaT gaya Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now