Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mana ki zalzala tha yahan kam bahut hi kam

P P Srivastava Rind

mana ki zalzala tha yahan kam bahut hi kam

P P Srivastava Rind

MORE BYP P Srivastava Rind

    maanā ki zalzala thā yahāñ kam bahut kam

    bastī meñ bach ga.e the makāñ kam bahut kam

    mere lahū zā.iqa chakhtā rahā thā dard

    tanhā.iyāñ thiiñ raat jahāñ kam bahut kam

    kāñToñ ko sīñchtī rahī parchhā.iyoñ fasl

    jab dhuup thā nām-o-nishāñ kam bahut kam

    āñgan meñ dhuup dhuup ko oḌhe udāsiyāñ

    ghar meñ the zindagī ke nishāñ kam bahut kam

    maflūj raat karb ke bistar pe leT kar

    kartī hai ab to āh-o-fuġhāñ kam bahut kam

    kyuuñ dostoñ bhiiḌ se ghabrā na jaa.e dil

    dushman to rah ga.e haiñ yahāñ kam bahut kam

    ham jab se pattharoñ tijārat meñ lag ga.e

    hai dosti-e-shīsha-garāñ kam bahut kam

    itnī azīyatoñ se guzarne ke ba.ad 'rind'

    ḳhud par hai zindagī gumāñ kam bahut kam

    mana ki zalzala tha yahan kam bahut hi kam

    basti mein bach gae the makan kam bahut hi kam

    mere lahu ka zaiqa chakhta raha tha dard

    tanhaiyan thin raat jahan kam bahut hi kam

    kanTon ko sinchti rahi parchhaiyon ki fasl

    jab dhup ka tha nam-o-nishan kam bahut hi kam

    aangan mein dhup dhup ko oDhe udasiyan

    ghar mein the zindagi ke nishan kam bahut hi kam

    mafluj raat karb ke bistar pe leT kar

    karti hai ab to aah-o-fughan kam bahut hi kam

    kyun doston ki bhiD se ghabra na jae dil

    dushman to rah gae hain yahan kam bahut hi kam

    hum jab se pattharon ki tijarat mein lag gae

    hai dosti-e-shisha-garan kam bahut hi kam

    itni aziyaton se guzarne ke baad 'rind'

    KHud par hai zindagi ka guman kam bahut hi kam

    RECITATIONS

    P P Srivastava Rind

    P P Srivastava Rind,

    P P Srivastava Rind

    mana ki zalzala tha yahan kam bahut hi kam P P Srivastava Rind

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now