kyun kisi se wafa kare koi
kyuuñ kisī se vafā kare koī
dil na maane to kyā kare koī
na davā chāhiye mujhe na duā
kaash apnī davā kare koī
muflisī meñ mizāj shāhāna
kis maraz kī davā kare koī
dard ho to davā bhī mumkin hai
vahm kī kyā davā kare koī
hañs bhī letā huuñ uuprī dil se
jī na bahle to kyā kare koī
maut bhī aa sakī na muñh-māñgī
aur kyā iltijā kare koī
dard-e-dil phir kahīñ na karvaT le
ab na chauñke ḳhudā kare koī
ishq-bāzī kī intihā mālūm
shauq se ibtidā kare koī
kohkan aur kyā banā letā
ban ke bigḌe to kyā kare koī
apne dam kī hai raushnī saarī
dīda-e-dil to vā kare koī
sham.a kyā sham.a kā ujālā kyā
din chaḌhe sāmnā kare koī
ġhālib aur mīrzā 'yagānā' kā
aaj kyā faisla kare koī
kyun kisi se wafa kare koi
dil na mane to kya kare koi
na dawa chahiye mujhe na dua
kash apni dawa kare koi
muflisi mein mizaj shahana
kis maraz ki dawa kare koi
dard ho to dawa bhi mumkin hai
wahm ki kya dawa kare koi
hans bhi leta hun upri dil se
ji na bahle to kya kare koi
maut bhi aa saki na munh-mangi
aur kya iltija kare koi
dard-e-dil phir kahin na karwaT le
ab na chaunke KHuda kare koi
ishq-bazi ki intiha malum
shauq se ibtida kare koi
kohkan aur kya bana leta
ban ke bigDe to kya kare koi
apne dam ki hai raushni sari
dida-e-dil to wa kare koi
shama kya shama ka ujala kya
din chaDhe samna kare koi
ghaalib aur mirza 'yagana' ka
aaj kya faisla kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.