Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh to kah wasl ki phir raat chali jati hai

Meer Taqi Meer

kuchh to kah wasl ki phir raat chali jati hai

Meer Taqi Meer

kuchh to kah vasl phir raat chalī jaatī hai

din guzar jaa.eñ haiñ par baat chalī jaatī hai

rah ga.e gaah tabassum pe gahe baat par

baare ai ham-nashīñ auqāt chalī jaatī hai

Tuk to vaqfa bhī kar ai gardish-e-daurāñ ki ye jaan

umr ke haif kyā saat chalī jaatī hai

yaañ to aatī nahīñ shatranj-zamāna chaal

aur vaañ baazī huī maat chalī jaatī hai

roz aane pe nahīñ nisbat-e-ishqī mauqūf

umr bhar ek mulāqāt chalī jaatī hai

shaiḳh-e-be-nafs ko nazla nahīñ hai naak raah

ye hai jiryān-e-manī dhaat chalī jaatī hai

ḳhirqa mindīl o ridā mast liye jaate haiñ

shaiḳh saarī karāmāt chalī jaatī hai

hai muazzin jo baḌā murġh musallī us

mastoñ se nok baat chalī jaatī hai

paañv ruktā nahīñ masjid se dam-e-āḳhir bhī

marne par aayā hai par laat chalī jaatī hai

ek ham se tafāvut hai sulūkoñ meñ 'mīr'

yuuñ to auroñ mudārāt chalī jaatī hai

kuchh to kah wasl ki phir raat chali jati hai

din guzar jaen hain par baat chali jati hai

rah gae gah tabassum pe gahe baat hi par

bare ai ham-nashin auqat chali jati hai

Tuk to waqfa bhi kar ai gardish-e-dauran ki ye jaan

umr ke haif hi kya sat chali jati hai

yan to aati nahin shatranj-zamana ki chaal

aur wan bazi hui mat chali jati hai

roz aane pe nahin nisbat-e-ishqi mauquf

umr bhar ek mulaqat chali jati hai

shaiKH-e-be-nafs ko nazla nahin hai nak ki rah

ye hai jiryan-e-mani dhat chali jati hai

KHirqa mindil o rida mast liye jate hain

shaiKH ki sari karamat chali jati hai

hai muazzin jo baDa murgh musalli us ki

maston se nok hi ki baat chali jati hai

panw rukta nahin masjid se dam-e-aKHir bhi

marne par aaya hai par lat chali jati hai

ek hum hi se tafawut hai sulukon mein 'mir'

yun to auron ki mudaraat chali jati hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now