Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi makan ke dariche ko wa to hona tha

Ameen Rahat Chugtai

kisi makan ke dariche ko wa to hona tha

Ameen Rahat Chugtai

kisī makāñ ke darīche ko to honā thā

mujhe kisī na kisī din sadā to honā thā

jise ḳhamīda saroñ se mile qad-o-qāmat

use kisī na kisī din ḳhudā to honā thā

maiñ jāntā thā jabīnoñ pe bal paḌeñge magar

qalam qarz thā āḳhir adā to honā thā

ye kyā zarūr pata pūchhte phireñ us

milā yuuñ thā vo jaise judā to honā thā

vo pichhlī raat ḳhushbū rachī rachī fazā

sahar qarīb thī vaqf-e-duā to honā thā

ham ek jaañ sahī dil to apne apne the

kahīñ kahīñ se fasāna judā to honā thā

maiñ aa.ina thā chhupātā kisī ko kyā rāhat

vo dekhtā mujhe jab bhī ḳhafā to honā thā

kisi makan ke dariche ko wa to hona tha

mujhe kisi na kisi din sada to hona tha

jise KHamida saron se mile qad-o-qamat

use kisi na kisi din KHuda to hona tha

main jaanta tha jabinon pe bal paDenge magar

qalam ka qarz tha aaKHir ada to hona tha

ye kya zarur pata puchhte phiren us ka

mila hi yun tha wo jaise juda to hona tha

wo pichhli raat ki KHushbu rachi rachi si faza

sahar qarib thi waqf-e-dua to hona tha

hum ek jaan hi sahi dil to apne apne the

kahin kahin se fasana juda to hona tha

main aaina tha chhupata kisi ko kya rahat

wo dekhta mujhe jab bhi KHafa to hona tha

Source :
  • Book : Pakistani Adab (Pg. 354)
  • Author : Dr. Rashid Amjad
  • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
  • Edition : 2009
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now