Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ko lakh alam ho zara malal nahin

Lala Madhav Ram Jauhar

kisi ko lakh alam ho zara malal nahin

Lala Madhav Ram Jauhar

kisī ko laakh alam ho zarā malāl nahīñ

koī mare ki jiye kuchh unheñ ḳhayāl nahīñ

ye jāntā huuñ magar kyā karūñ tabī.at ko

ki mai harām hai ai vā.izo halāl nahīñ

abas ġhurūr hai mañgvā ke aa.ina dekho

vo rañg-o-rūp nahīñ ab vo sin o saal nahīñ

huzūr aap jo hote to koī kyuuñ bantā

ye ḳhūbī aap hai ġhair majāl nahīñ

idhar to dekho hameñ do din meñ bhuul ga.e

ye be-muravvatī allāh kuchh ḳhayāl nahīñ

bahār-e-husn ye do din chāñdnī hai huzūr

jo baat ab baras hai vo pār-sāl nahīñ

hazar na kījiye milne se ḳhāksāroñ ke

duā to hai jo faqīroñ ke paas maal nahīñ

kisī ne ke burā.ī kahī jo 'jauhar'

kahā ye jhuuT hai us to ye majāl nahīñ

kisi ko lakh alam ho zara malal nahin

koi mare ki jiye kuchh unhen KHayal nahin

ye jaanta hun magar kya karun tabiat ko

ki mai haram hai ai waizo halal nahin

abas ghurur hai mangwa ke aaina dekho

wo rang-o-rup nahin ab wo sin o sal nahin

huzur aap jo hote to koi kyun banta

ye KHubi aap ki hai ghair ki majal nahin

idhar to dekho hamein do hi din mein bhul gae

ye be-murawwati allah kuchh KHayal nahin

bahaar-e-husn ye do din ki chandni hai huzur

jo baat ab ki baras hai wo par-sal nahin

hazar na kijiye milne se KHaksaron ke

dua to hai jo faqiron ke pas mal nahin

kisi ne ja ke burai kahi jo 'jauhar' ki

kaha ye jhuT hai us ki to ye majal nahin

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now