Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHafa na ho ki tera husn hi kuchh aisa tha

Aslam Ansari

KHafa na ho ki tera husn hi kuchh aisa tha

Aslam Ansari

ḳhafā na ho ki tirā husn kuchh aisā thā

maiñ tujh se pyaar na kartā to aur kyā kartā

Thahar ke sun to sahī ġham Dūbtī āvāz

palaT ke dekh to le manzar-e-shikast-e-vafā

ḳhvāb thā to mujhe niiñd se jagāyā kyuuñ

vahm thā to mire saath saath kyuuñ na chalā

kahāñ kahāñ liye phirtā kashāñ kashāñ mujh ko

lipaT gayā hai mire paañv se mirā saaya

havā chalī hai ki talvār chalī hai abhī

lahū meñ Duub gayā shāḳh shāḳh chehra

damak uThī haiñ jabīneñ mire ḳhayāloñ

lapak gayā hai kahīñ terī yaad sho.ala

kisī ko ḳhvāhish-e-dasht-e-vajūd kab thī

sunā fasāna-e-hastī to phir rahā na gayā

sunahrī rut ke kisī nīlgūñ tanāzur meñ

ḳhat-e-ufuq pe vo piilā gulāb phir na khilā

KHafa na ho ki tera husn hi kuchh aisa tha

main tujh se pyar na karta to aur kya karta

Thahar ke sun to sahi gham ki Dubti aawaz

palaT ke dekh to le manzar-e-shikast-e-wafa

tu KHwab tha to mujhe nind se jagaya kyun

tu wahm tha to mere sath sath kyun na chala

kahan kahan liye phirta kashan kashan mujh ko

lipaT gaya hai mere panw se mera saya

hawa chali hai ki talwar si chali hai abhi

lahu mein Dub gaya shaKH shaKH ka chehra

damak uThi hain jabinen mere KHayalon ki

lapak gaya hai kahin teri yaad ka shoala

kisi ko KHwahish-e-dasht-e-wajud hi kab thi

suna fasana-e-hasti to phir raha na gaya

sunahri rut ke kisi nilgun tanazur mein

KHat-e-ufuq pe wo pila gulab phir na khila

Source :
  • Book : Range-e-Gazal (Pg. 125)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now