Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin goyai ke hathon samaat ro rahi hai

Azm Bahzad

kahin goyai ke hathon samaat ro rahi hai

Azm Bahzad

kahīñ goyā.ī ke hāthoñ samā.at ro rahī hai

kahīñ lab-basta rah jaane hasrat ro rahī hai

kisī dīvār par nāḳhun ne likkhā hai rihā.ī

kisī ghar meñ asīrī aziyyat ro rahī hai

kahīñ mimbar pe ḳhush baiThā hai ik sajde nashsha

kisī mehrāb ke nīche ibādat ro rahī hai

ye māthe par pasīne jo larzish tum ne dekhī

ye ik chehre pe lā-hāsil mashaqqat ro rahī hai

ajab mahfil hai sab ik dūsre par hañs rahe haiñ

ajab tanhā.ī hai ḳhalvat ḳhalvat ro rahī hai

ye ḳhāmoshī nahīñ sab iltijā.eñ thak chukī haiñ

ye āñkheñ tar nahīñ rone himmat ro rahī hai

jo ba.ad-az-hijr aayā us ko kaise vasl kah duuñ

shikāyat se gale mil kar nadāmat ro rahī hai

ise ġhussa na samjho 'azm' ye mere lahū meñ

musalsal zabt karne rivāyat ro rahī hai

kahin goyai ke hathon samaat ro rahi hai

kahin lab-basta rah jaane ki hasrat ro rahi hai

kisi diwar par naKHun ne likkha hai rihai

kisi ghar mein asiri ki aziyyat ro rahi hai

kahin mimbar pe KHush baiTha hai ek sajde ka nashsha

kisi mehrab ke niche ibaadat ro rahi hai

ye mathe par pasine ki jo larzish tum ne dekhi

ye ek chehre pe la-hasil mashaqqat ro rahi hai

ajab mahfil hai sab ek dusre par hans rahe hain

ajab tanhai hai KHalwat ki KHalwat ro rahi hai

ye KHamoshi nahin sab iltijaen thak chuki hain

ye aankhen tar nahin rone ki himmat ro rahi hai

jo baad-az-hijr aaya us ko kaise wasl kah dun

shikayat se gale mil kar nadamat ro rahi hai

ise ghussa na samjho 'azm' ye mere lahu mein

musalsal zabt karne ki riwayat ro rahi hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Azm Bahzad

Azm Bahzad

Azm Bahzad

Azm Bahzad

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now