Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo sail-e-dard uTha tha wo jaan chhoD gaya

Riaz Majeed

jo sail-e-dard uTha tha wo jaan chhoD gaya

Riaz Majeed

jo sail-e-dard uThā thā vo jaan chhoḌ gayā

magar vujūd pe apnā nishān chhoḌ gayā

har ek chiiz meñ ḳhushbū hai us ke hone

'ajab nishāniyāñ vo mehmān chhoḌ gayā

na saath rahne vā'da agar kiyā puurā

zamīñ saath agar āsmān chhoḌ gayā

zarā der ko baiThā jhukā gayā shāḳheñ

parinda peḌ meñ apnī thakān chhoḌ gayā

vo vāqi'a mirā kirdār ubhartā thā jis meñ

kahānī-kār usī bayān chhoḌ gayā

simaTtī phailtī tanhā.ī sote jāgte dard

vo apne aur mire darmiyān chhoḌ gayā

bahut 'azīz thī niind us ko sub.h-e-kāzib

so us ko sote hue kārvān chhoḌ gayā

rahā 'riyāz' añdheroñ meñ nauha karne ko

vo āñkheñ nochne vaalā zabān chhoḌ gayā

jo sail-e-dard uTha tha wo jaan chhoD gaya

magar wujud pe apna nishan chhoD gaya

har ek chiz mein KHushbu hai us ke hone ki

'ajab nishaniyan wo mehman chhoD gaya

na sath rahne ka wa'da agar kiya pura

zamin ka sath agar aasman chhoD gaya

zara si der ko baiTha jhuka gaya shaKHen

parinda peD mein apni thakan chhoD gaya

wo waqi'a mera kirdar ubharta tha jis mein

kahani-kar usi ka bayan chhoD gaya

simaTti phailti tanhai sote jagte dard

wo apne aur mere darmiyan chhoD gaya

bahut 'aziz thi nind us ko subh-e-kazib ki

so us ko sote hue karwan chhoD gaya

raha 'riyaz' andheron mein nauha karne ko

wo aankhen nochne wala zaban chhoD gaya

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

jo sail-e-dard uTha tha wo jaan chhoD gaya Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now