Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ne ek ahd ke zehnon ko jila di hogi

Kalidas Gupta Raza

jis ne ek ahd ke zehnon ko jila di hogi

Kalidas Gupta Raza

jis ne ik ahd ke zehnoñ ko jilā hogī

mere āvāra ḳhayālāt bijlī hogī

le uḌī hai tire hāthoñ hinā pichhle pahar

mere uljhe hue afkār āñdhī hogī

jitnī mil jā.egī kāñToñ chubhan le lūñgā

jo bhī hālat dil-e-be-tāb hogī hogī

ham na māneñge ḳhamoshī hai tamannā mizāj

haañ bharī bazm meñ vo bol na paa.ī hogī

merī nā-kāmi-e-hālāt ke dhāre ke sivā

ek naddī bhī to be-āb na bahtī hogī

hai 'razā' aaj aalam to asīr-e-ib.hām

yaar zinda haiñ to kal aur taraqqī hogī

jis ne ek ahd ke zehnon ko jila di hogi

mere aawara KHayalat ki bijli hogi

le uDi hai tere hathon ki hina pichhle pahar

mere uljhe hue afkar ki aandhi hogi

jitni mil jaegi kanTon ki chubhan le lunga

jo bhi haalat dil-e-be-tab ki hogi hogi

hum na manenge KHamoshi hai tamanna ka mizaj

han bhari bazm mein wo bol na pai hogi

meri na-kaami-e-haalat ke dhaare ke siwa

ek naddi bhi to be-ab na bahti hogi

hai 'raza' aaj ka aalam to asir-e-ibham

yar zinda hain to kal aur taraqqi hogi

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

jis ne ek ahd ke zehnon ko jila di hogi Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now