Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ko samjhe the tawangar wo gadagar nikla

Anees Ansari

jis ko samjhe the tawangar wo gadagar nikla

Anees Ansari

Interesting Fact

28 November 2007, Lucknow

jis ko samjhe the tavañgar vo gadāgar niklā

zarf meñ kāsa-e-darvesh samundar niklā

kabhī darvesh ke takiya meñ bhī aa kar dekho

tañg-dastī meñ bhī ārām mayassar niklā

mushkileñ aatī haiñ aane do guzar jā.eñgī

log ye dekheñ ki kamzor dilāvar niklā

jab giraftoñ se bhī aage ho pahuñch muTThī

tab lagegā ki samundar meñ shanāvar niklā

koī mauhūm chehra jo bulātā hai hameñ

bādaloñ tarah shakleñ vo badal kar niklā

dil ajab chiiz hai kis miTTī meñ kar bo.eñ

jaḌ yuuñ pakḌe ki lage peḌ tanāvar niklā

laash qātil ne khulī pheñk chaurāhe par

dekhne vaalā koī ghar se na bāhar niklā

dekhne meñ to dhanak chand lamhe thī 'anīs'

saat rañgoñ magar dīdanī manzar niklā

jis ko samjhe the tawangar wo gadagar nikla

zarf mein kasa-e-darwesh samundar nikla

kabhi darwesh ke takiya mein bhi aa kar dekho

tang-dasti mein bhi aaram mayassar nikla

mushkilen aati hain aane do guzar jaengi

log ye dekhen ki kamzor dilawar nikla

jab girafton se bhi aage ho pahunch muTThi ki

tab lagega ki samundar mein shanawar nikla

koi mauhum sa chehra jo bulata hai hamein

baadalon ki tarah shaklen wo badal kar nikla

dil ajab chiz hai kis miTTi mein ja kar boen

jaD yun pakDe ki lage peD tanawar nikla

lash qatil ne khuli phenk di chaurahe par

dekhne wala koi ghar se na bahar nikla

dekhne mein to dhanak chand hi lamhe thi 'anis'

sat rangon ka magar didani manzar nikla

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now