Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhankar hai maujon ki bahte hue pani se

Asif Saqib

jhankar hai maujon ki bahte hue pani se

Asif Saqib

jhankār hai maujoñ bahte hue paanī se

zanjīr machal jaa.e qadmoñ ravānī se

ik mauj-e-sabā bhejūñ afkār ke zindāñ ko

jo lafz chhuḌā laa.e pur-pech ma.ānī se

kitnī hai paḌī mushkil din phirte haiñ āḳhir meñ

maiñ ne ye sabaq sīkhā bachchoñ kahānī se

tafsīl se likkhā thā jab naama mohabbat

'ġhālib' ko ġharaz kyā thī paiġhām-e-zabānī se

kartā hai mar jaa.eñ ab lauT ke ghar jaa.eñ

jannat ḳhayāl aa.e gandum girānī se

ḳhushbū ko uḌāne meñ ye raat chorī kyuuñ

pūchhe to koī kar us raat raanī se

kis darja munāfiq haiñ sab ahl-e-havas 'sāqib'

andar se to patthar haiñ aur lagte haiñ paanī se

jhankar hai maujon ki bahte hue pani se

zanjir machal jae qadmon ki rawani se

ek mauj-e-saba bhejun afkar ke zindan ko

jo lafz chhuDa lae pur-pech maani se

kitni hai paDi mushkil din phirte hain aaKHir mein

main ne ye sabaq sikha bachchon ki kahani se

tafsil se likkha tha jab nama mohabbat ka

'ghaalib' ko gharaz kya thi paigham-e-zabani se

ji karta hai mar jaen ab lauT ke ghar jaen

jannat ka KHayal aae gandum ki girani se

KHushbu ko uDane mein ye raat ki chori kyun

puchhe to koi ja kar us raat ki rani se

kis darja munafiq hain sab ahl-e-hawas 'saqib'

andar se to patthar hain aur lagte hain pani se

Source :
  • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 03.01.2015)
  • Author : Inam-ul-Haq Javed
  • Publication : National Book Foundation,Pakistan (03.01.2015)
  • Edition : 03.01.2015
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now