Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab KHema-zano! zor hawaon ka ghaTega

Kaifi Wijdani

jab KHema-zano! zor hawaon ka ghaTega

Kaifi Wijdani

jab ḳhema-zano! zor havāoñ ghaTegā

ḳhuuñ merī hathelī tanāboñ pe malegā

ho pyaas to ḳhud apne hoñToñ lahū chuus

sūkhī huī jhīloñ meñ tujhe kuchh na milegā

jalte hue rastoñ ke liye dekh liyā kar

khiḌkī na khulegī to dhuāñ aur ghuTegā

bastī meñ ġharīboñ jahāñ aag lagī thī

sunte haiñ vahāñ ek nayā shahr basegā

peḌoñ agar nasl-kushī ḳhatm nahīñ

kuchh din meñ yahāñ peḌoñ saaya bhī bikegā

bas aag ubal saktī haiñ ye murda zamīneñ

bekār koshish hai yahāñ kuchh na ugegā

vo murda-dilī shaam se pahle adā thī

is vaqt to 'kaifī' kisī maqtal meñ milegā

jab KHema-zano! zor hawaon ka ghaTega

KHun meri hatheli ka tanabon pe malega

ho pyas to KHud apne hi honTon ka lahu chus

sukhi hui jhilon mein tujhe kuchh na milega

jalte hue raston ke liye dekh liya kar

khiDki na khulegi to dhuan aur ghuTega

basti mein gharibon ki jahan aag lagi thi

sunte hain wahan ek naya shahr basega

peDon ki agar nasl-kushi KHatm nahin ki

kuchh din mein yahan peDon ka saya bhi bikega

bas aag ubal sakti hain ye murda zaminen

bekar si koshish hai yahan kuchh na ugega

wo murda-dili sham se pahle ki ada thi

is waqt to 'kaifi' kisi maqtal mein milega

Source :
  • Book : ras-Rang(Mehfil-e-Adab) (Pg. 5)
  • Edition : 2002
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now